CHAPTER - 20
On reaching
the temple,like everyone else,Ananya didn’t step inside and rather she
preferred to sit in front of the pond inside the temple area.Akash,who saw
Ananya sneaking away decided to walk upto her and spend some time with her.He
sat beside her and asked,”Kya baat hai
aap bhagwaan ko nehi maanti?”Ananya was so immersed in her thoughts that
she didn’t even realize Akash came and sat beside her.She looked at him with a
jerk and then again resumed looking at the pond and asked,”Aap maante hai?”He replied,”Well…Jab
mere manmutaabik hota hai tab yakeen kar leta hu aur jab nehi hota hai to mujhe
lagta hai ke shaayad bhagwaan nap le rahe hai.”Ananya smiled sadly and
replied,”Hume bhagwaan par bilkul bhi
bharosa nehi hai kyuki unhone hamaari kismat ki neend mein banaayi hai.Hamaare
kismat mein vo to khushiyan likhna hi bhul gaye.Paida hone ke kuch dino baad
hamaari maasa hume chorkar chali gayi aur papa vo aajtak unhe bhul nehi
paaye.Sabne kitna kaha ke vo dusri shaadi karle lekin unhone nehi kiya kyuki vo
hume sauteli ma nehi dena chahte the isiliye hamaari saari zimmedaari ma par
dedi.Agar uswaqt ma na hoti to pata nehi hamaara kya hota.Papa army mein the
lekin maasa ki maut ke baad unhone army chod diya aur business shuru kiya.Maasa
ko bhulne ke liye papa ne apne aap ko business mein mashruf kar liya.Hume papa
se koi shikaayat nehi hai ke vo hume zyaada waqt nehi de paaye kyuki jab hum
India mein the Vinay uncle ki vajah se hume papa ki kami bhi kabhi mehsus nehi
hui.Papa army mein the na isiliye thore disciplined zyaada hai isliye sabko
lagta hai jaise vo humse pyar bhi naaptol kar karte hai par sach to ye hai ke
papa ko humme bhi maasa ki parchaayi nazar aati hai isiliye vo humse dur bhi
hai aur humse bohot zyaada attached bhi.Bhaisa ki ma hamaari apni ma nehi hai
lekin kuch saalo tak to hume maalum hi nehi tha ke vo hamaari asli ma nehi hai
aur jab pata chala to bohot waqt tak humne us baat ka yakeen hi nehi kiya.”While
talking suddenly her eyes fall on Akash who was looking at her without blinking.She
asked,”Aap mujhe aise ghur kyu rahe
hai?”He nodded his head and replied,”Nehi
aisi koi baat nehi hai.Main to bas aise hi...Aapki baate sunne mein bohot
achcha lag raha tha.”She angrily replied,”Hum kya aapko joker lag rahe hai?Aap aakhri baar serious kab huye
the?Yaha bhi aapko to bas hamaare saath flirt hi karna hota hai.Kabhi kabhi aap
hume achche insaan lagte hai aur kabhi kabhi bilkul hi ajeeb.Ye jab aap flirt
karte hai na tab hume bohot gussa aata hai.”He stopped her and said,”Arey arey ruk jaaiye main aapse flirt nehi
kar raha tha.Hamesha thore hi mood hota hai flirt karne ka.Main to genuinely
keh raha tha ke mujhe aapki baate sunne mein bohot achchi lag rahi hai vaise to
hamesha hi lagti hai.”Ananya almost yelled,”Phir se??”Akash replied,”Arey
nehi aap vaisi nehi hai jisse flirt karte hai.Aap flirt karne laayak nehi
hai.Aap to…”She pouted and asked,”Hum
kya?”He put his arms resting on his knees and said,”Main nehi kahunga varna aap sochengi ke main fir se aap ke saath flirt
kar raha hu.”Ananya turned her head towards the pond and replied,”Nehi hum kuch bhi nehi kahenge.”He
replied,”Aap to vaisi hai jiske saath
shaadi karke ghar basaya jaata hai.”Ananya looked at him with a sort of
horror and then sadly said,”Ghar basaana
har kisike kismat mein nehi hota hai.Aap shaayad jaante nehi hai ke Neelakshi
ke shraap ke saath saath hume neend mein chalne ki bimaari hai.Hum neend mein
chalkar kayi baar suicide karne ki koshish tak kar chuke hai.Neelakshi ke
shraap ka agla shikaar hum hai.”Akash said,”Dekhiye Neelakshi ke shraap ka to main nehi jaanta hu par aapki baaki
bimaariyo ka to ilaaj hota hai.”Ananya said,”Aap samjhe nehi hamaare dadaji ki bhi maut aise hi bimaari ki vajah se
hui hai.Ye hamaari khaandaan mein har alternate generation mein hota hai aur ye
kisike saath bhi ho sakta hai.Kabhi kabhi to lagta hai ke neend mein hum jo
kaam karne ki koshish karte hai vo hosh mein karle.Aisi zindagi ka kya faayda
hai?”Akash said,”Aapki yehi
negativity hi aapki sabse bari dushman hai.Meri ma hai full Punjabi hai aur
Shivji ki bohot bari bhakt hai.Vo kehti hai ke hum sabko bhagwaan ne ek maksad
ke saath bheja hai aur jabtak uska vo maksad pura nehi hota kuch bhi khatam
nehi hota hai.”She smiled and asked,”Aap
maante hai is baat ko?”He replied,”Pehle
nehi manta tha lekin…ab thora thora maanne laga hu.Shaayad…matlab ho bhi sakta
hai ke manta hu…I mean pata nehi…”Ananya chuckled and asked,”Aapke ghar mein kaun kaun hai?”He
replied,”Papa hai vo professor hai,ma
hai puri filmy hai,bhaiya IAS officer,bhabhi meri housewife aur ek bhatija
hai.Actually kya hai paida hone ke time par na meri life khatre mein thi to
isliya main apni ma ka thora laadla hu aur meri ma aur bhabhi ki aapas mein
banti nehi hai vohi saas – bahu waala chakkar aur mera bhatija by God itna naalaayak
hai aur itna apni umr se bara hai na ke kya kahu.Larkiyo ke baare mein mujhe
tips deta hai,par vo mera best friend hai.Ek vohi hai purey ghar mein jiske
saath main koi bhi bakwaas kar sakta hu.”Ananya smiled and said,”Ha samajh sakti hu.”Akash replied,”Aaj raat ko na dinner ke baad main apni
puri family se aapki baat karaaunga.Neil hai na vo to kabse aapse baat karna
chahta hai par uski harkato par mujhe bharosa nehi hai isiliye main uski baat
nehi karwa raha tha.Aap unke saath baat karengi?”Ananya looked excited and
replied,”Ya of course main unke saath
baat karungi.”They were gradually becoming very comfortable with each other
but at that moment,they saw gayatri was coming down through the stairs with a
pot in her hand.On seeing her Ananya became conscious and stood up and asked,”Gayatri bhabhi ye aap matke ke saath kya
kar rahi hai?”Gayatri replied,”Jijisa
vo kya hai na kunwarsa ne kaha hai unke bapusa ne apne panditji se baat ki hai
aur unhone kaha hai ke hum na Shiv mandir ke darshan ke baad unke shivling par
kamsekam 15 baar paani dale aur phir 15 baar unki parikrama kare.To hum vohi
kar rahe hai.”Ananya asked,”Aur isse
kya hoga?”Gayatri replied,”Kunwarsa
ne kaha hai ke unke panditji ne kaha hai ke aisa karne se hume beta hoga aur
kunwarsa ne kaha hai ke unhe beta hi chahiye.”Akash asked,”Achcha???Aur aapko kya chahiye?”Gayatri
put the pot on the ground and replied,”Hume??Hum
kya chahenge??Hum kya chahte hai vo to kabhi kisine pucha hi nehi.Ladki hai na
isiliye sab kehte hai ke hume puchne ki kya zarurat hai.”Akash said,”Bachche ko to aap is duniya mein lekar
aayengi na to aapko kya chahiye ye sabse zyaada important hai.”Ananya
replied,”Ji bhabhi bataiye na aapko beta
chahiye ya beti?”Gayatri replied,”Hume
to beti chahiye kyuki ma kehti thi ke betiyan na bari hokar ma ki sakhi banti
hai.Par kunwarsa ko to beta chahiye na isliye hume to ye sab to karna parega hi
na.”Ananya walked upto her and said,”Par
bhabhisa aisi haalat ye sab karne se aapke tabiyat par asar parega.Vaise bhi
beta hoga ya beti ye sab to bhagwan ke haath mein hota hai.”Gayatri
replied,”Hum jaante hai jijisa par vo
kehte hai ke bete se to vansh ka naam aagey badhta hai.Vohi to unke baad sab
kuch sambhaalega aur beti to shaadi karke chali jaayegi.”Ananya replied,”Arey ye kya baat hui?Hum bhi to apne papa
ki ek lauti beti hai.Hum unke business mein unki madat bhi kar dete hai par vo
to kabhi hamaare beti hone par dukhi nehi hote,balki vo to kehte hai ke hum
unka guroor hai.”Gayatri gave a sad smile and replied,”Par agar beta nehi hua na to kunwarsa hume ghar se nikaal denge phir
hum kaha jaayenge?Hume to hamaare ghar mein bhi waapas nehi lenge.Ma aur bapusa
ne kaha tha ke sasural ki chaukhat se agar niklo to arthi par.Vaise bhi hum
chahe kuch bhi soche hume to unke saath hi rehna hai na.”Akash and Ananya
could see the line of tears forming in her eyes and they could easily relate to
her pain. Ananya felt very disgusted and angry and said,”Ye kaisi dakiyanusi baate hai batao.Aisa koi karta hai kya?Bichaari ye
itni bholi aur maasoom hai na isiliye ye log aisi manmaani karte hai,daraa kar
rakhte hai sab inko.Hum sirf buasa ke vajah se chup hai varna in baap bete ko
unki aukaad dikha dete.Unhe bata dete ke raajgharaane mein bahuo par haath
uthaane aur unke saath aise bartaav karne ki kya sazaa hoti hai.Hamaara bas
chalta to hum buasa aur bhabhisa dono ko apne saath London lekar chale jaate.”Akash
stopped Ananya and pulled her back and said,”Yuvraaniji dekhiye ye saari baate inhe bolkar koi faayda nehi hai
kyuki ye baat to sach hai na ke inhe hi rehna hoga inke pati ke saath.Aap sab
yaha par hai par wapas jaane ke baad inhiko sab kuch jhelna parega.Ha main ye
bhi manta hu ke ye sab kuch jo vo karna chahti hai usse bhi koi faayda nehi hai
par inhe inki tasalli ke liye karne dijiye.”Ananya asked,”Aap jaante bhi hai aap kya keh rahe
hai??Ye…”He said,”Arey baba main ye
kaha keh raha hu ke yehi karengi sab kuch.Hum hai na hum kar lenge par karna
parega isse inki bhi baat reh jaayegi aur kaam bhi ho jaayega.”Akash again
walked upto Gayatri and asked,”To aap
sach mein ye sab karna chahti hai?”She nodded her head and Akash folded his
shirts’ sleeves and replied,”To bas ho
gaya aapko ye saara kaam karne mein hum aapki madat karenge.”Gayatri asked,”Vo kaise?”Akash looked at Ananya and
asked,”Yuvraaniji kya aap matke se paani
bhar sakti hai?”Ananya replied,”Ha.”Akash
asked her to do so and when she filled up the pot,Akash picked Gayatri up in
his arms and she screamed aloud,”Arey
arey bhaisa ye aap kya kar rahe hai?”Akash asked,”Achcha abhi aapne mujhe kya bulaya?”Gayatri replied,”Bhaisa!!”Akash said,”Correct!!Matlab ke ye ke aap mujhe apna
bhai maanti hai.Ab aap mujhse bohot choti hai to main ho gaya aapka bara bhai
aur aapko apne bare bhai ki baat manni paregi.Yuvraaniji abhi aapke liye matke
mein paani bhar chuki hai aur main aapko mandir le jaaunga.Phir aap jitna paani
daalna chahe daaliye jitney parikramayein karni hai kariye koi problem nehi
hogi.Aapko to ye sab karne se matlab hai na chahe jaise bhi kiya gaya
ho.Kunwarsa ko bete ke baare mein sochne dijiye aap ye sab karna taaki aapko
chaand si pyaari beti ho aur aagey chalkar vo bhi to mujhe maamu bulaayegi na.To
main ye sab apni hone waali bhaanji ke liye kar raha hu.To ab chale?”Gayatri
nodded her head and he looked at Ananya and winked at her.Ananya smiled back
and carried the pot by her waist and climbed the stairs to reach the temple.
When Akash and Ananya reached inside the temple,Akash put down Gayatri
and said,”Ab aap mandir ke andar rehkar
jitna paani daalna hai daaliye,paani ka supply hum denge.”Gayatri happily
put water on the head of shivling with the help of Ananya.On seeing them,Rohit
and Natasha enquired about what was going on from Akash,he told him about what
Gayatri told them regarding all those putting on water over the shivling and
then moving round the temple.When they heard everything,they also decided to
help them alongwith Vijay.Vijay filled the pot from the pond and passed by hand
to Rohit to Akash to Ananya and finally to Gayatri.In this manner the whole
putting over shivling matter was over.After doing all these,everyone were tired
especially Gayatri and she wiped the sweat from her forehead and said to
Ananya,”Jijisa hume bohot thakaan mehsus
ho rahi hai.”Ananya replied,”Vo to
hoga hi chaliye aap hamaare saath hum na kahi chalkar bethte hai.”Gayatri
said,”Par jijisa vo parikrama bhi to
karni hai na.”Ananya replied,”Ha kar
lijiyega thori der ke liye araam kar lijiye aur jo ma ne diya hai vo khaana
thora kha lijiye vaise bhi ek saath itni mehnat karna aapke liye thik nehi
hai.Vaise bhi doctor ne kaha hai ke aap kamzor hai andar se aur aapko hare k do
ghante mein kuch na kuch khaana chahiye.”Natasha came there and sat with
them and said,”Hume bhi thori thori
bhukh lag rahi hai.”Akash said,”Thik
hai main aur Vijay jaakar kuch khaane ka lekar aate hai aap sab ke liye tabtak
Rohit yaha royal family ki pehredaari karega.”Saying that he took Vijay
with him to the market to bring food for others.In the market after purchasing
foods,Akash put his hand on Vijay’s shoulder and said,”Vijay chalo kahi bethte hai mujhe tumse kuch baate karni hai.”Vijay
was a bit taken back at the way Akash approached him.They walked to a sweet shop
and sat outside of it on two benches face to face and Vijay asked,”Bolo kya baat karni hai tumhe mujhse?”Akash
said,”Dekho Vijay main aur tum humumar
hai aur upar se main Punjabi hu isiliye mujhe mingle karne mein zyaada time
nehi lagta hai isi vajah se bina ghumaaye main tumse ek baat directly puch raha
hu.Kya tum Gayatri se pyar karte ho?”Vijay was drinking water and the
moment Akash said his last words,Vijay chocked and started coughing.He asked,”What???”Akash replied,”Ek simple sa question pucha tha do you
love Gayatri or not?”Vijay stole his glances and asked,”Ye kaisa sawaal hua?Aap aisa soch bhi kaise sakte hai?She’s married
how can I…?”Akash waved his hands in front of his face and said,”Mujhe un sab baato mein koi interest nehi
hai ke kya galat hai aur kya sahi.Dekho jisdin vo log yaha aaye the maine
notice kiya tha ke tum Gayatri ke taraf bina aakhe jhapkaayein dekhe ja rahe
the,uswaqt maine utna dhyaan nehi diya tha.But peechle kuch dino se jo tumhaari
harkatein main dekh raha hu na usse to ye saaf pata chal raha hai ke you do
have some feelings for her.Mujhe bas itna saaf lafzon mein janna hai ke tum
Gayatri se pyar karte ho ya nehi?Yes or no!!”Vijay nodded his head in a
confused manner and replied,”I don’t
know.”Akash nodded his head like an expert and replied,”That means yes!!Ok fine!!”Vjay objected to his statement and said,”Maine aisa nehi kaha main bas keh raha hu
ke mujhe nehi pata.”Suddenly he succumbed to his own feelings and said,”Ha
vo mujhe achchi lagti hai kyuki…kyuki vo maasum hai,mujhe uske saath hamdardi
hai.Uska pati uske saath bohot bura bartaav karta hai,usey maarta hai.Aisi
haalat mein bhi usko torture kar raha hai.Ek baar maine jab usey bachaane ki
koshish ki to Dheeraj ne meri bohot beizzati ki aur meri ma ke baare mein bohot
gandi baate ki.Meri jagah par koi aur hota to shaayad uske taraf ghum kar bhi
na dekhta par phir bhi pata nehi kyu main hamesha uski madat karne ka dil karta
hai.Vo aisi zindagi deserve nehi karti hai.Usme mujhe apni ma ki adhuri zindagi
dikhaayi deti hai.Meri ma ne bohot kuch saha hai,vo bohot akeli hai aur mera
baap…khair usne to meri ma ki zindagi barbaad kar di.Apni ma ke liye to main
kuch nehi kar paaya par Gayatri ke liye main kuch karna chahta hu.Vo mar
jaayegi Akashji.Main usey apni zindagi mein shaamil nehi karna chahta hu
bas…vo…sirf khush rahe.”Akash smirked looking at him and replied,”Pen da takka!!Tu menu sab daseya par vo hi
nehi daseya jo menu sunni si!!Itni saari ramayan na bolkar puttar agar tu mujhe
ye keh deta ke nehi mujhe Gayatri se pyar hai to baat thori aur asaan ho
jaati.”Vijay lowered his head and Akash said,”Khair!!Tum agar Gayatri se pyar karte bhi ho to usme kuch bhi galat
nehi hai.Pyar to kisiko bhi kisise bhi ho sakta hai ye koi soch samajhkar thore
hi karta hai par ye jo tum usey apni zindagi mein shaamil nehi karna chahte ho
dude ye jo baat hai ye mujhe pasand nehi aayi hai.”Vijay asked,”Kehna kya chahte hai aap main kuch samjh
nehi?”Akash replied,”Its so simple
dude!!Dekho sab jaante hai ke Gayatri us bheriye jaise aadmi ke saath bilkul
bhi khush nehi hai par sab chup isliye hai kyuki vo Ranaji ke behen ka sasuraal
hai.Main manta hu uski shaadi hui hai main ye bhi manta hu ke vo us shaitaan ke
bachche ki ma banne waali hai par is duniya mein kisi bhi law ko koi haq nehi
hai ke ek aurat ko force kare ek rishtey mein baandhne ke liye.You know ek
bachche ko symbol of love kyu kehte hai coz that comes due to two peoples’
union of love par Gayatri ka ye bachcha…Iam sorry to say that’s a kind of force
vo pyar nehi hai.Pyar aur zabardasti mein bohot fark hota hai.Meri mom kehti
hai ke jab ek aurat ma banti to vo apne bachche ke liye vo sab kar sakti hai jo
shaayad vo kabhi bhi ek beti,biwi ya bahu bankar nehi kar paati hai.Gayatri isiliye
aise rishte mein phasi hui hai kyuki uske gharwaale bohot conservative hai aur
aisi baato ke liye supportive nehi hai par tum uski madat kar sakte ho kamsekam
usey us aadmi se to bacha sakte ho jiske saath vo phasi hui hai.”Vijay
said,”I can’t believe aap aisi baate kar
rahe hai.Ye rajwaar hai inke liye inki zindagi se zyaada izzat pyaari hai.Aapko
Neelakshi ke baare mein maalum nehi hai kya?Hum chahe duniya ke kisi kone mein
rehle par rajwaar apni izzat ke saath kabhi bhi koi bhi sauda nehi karte hai.”Akash
raised his hand on his face and said,”Listen
Vijay!!Main ek practical aadmi hu aur main ye manta hu ke rishta bachaane ke
liye har pal marne se to achcha hai ke vo rishta hi khatam ho jaaye kyuki har
insaan ko khush rehne ka aur apni zindagi apni marzi se jeene ka haq hota hai
aur Gayatri ye tabhi kar paayegi jab koi uske saath khara hoga.Agar vo aaj apni
shaadi mein khush hoti to main tumhe kehta ke bhul jaao usko lekin aisa nehi
hai aur agar pyar karte ho na to usey haasil karne ki himmat bhi rakkho.Sirf
dur bethkar devdas banne se kuch nehi hota hai.Vo zamaana khatam ho chuka hai.”Vijay
got up and said,”Aapke liye ye sab kehna
bohot asaan hai.Ye baat sach to hai na ke main aur meri ma ko bhale hi kitni
bhi izzat aur diya ho Ranaji aur raajkunwari ji ne lekin hum raajgharaane ke to
koi nehi hai na.Hamaari koi hesiyat hi nehi hai unke saamne.Main to bas dur se
hi dekh sakta hu…aur kuch nehi...I think kuch kahaaniyaan aise hi khatam ho
jaati hai.”He picked up the packets of food and then said to Akash,”I think we should go sab intezaar kar rahe
hai.”He started walking while Akash was still sitting on the bench and
said,”O na puttar mere rehte aisa kabhi
nehi hoga.Neelakshi ka kissa bhale hi solve kar paau ya na kar paau par teri
shehnaai main jaane se pehle baja kar hi jaaunga.Gayatri aur teri shaadi hogi
aur zarur hogi,ye mera waada hai.”Saying he too picked up the other packet
and followed him back to the temple.
Back in the temple,Akash
and others again helped Gayatri taking 15 rounds around the temple.After that,Vijay
volunteered himself and helped Gayatri climb the stairs to the temple.On seeing
them,the priest of the temple,blessed Vijay and Gayatri and said,”Bhagwaan tum dono ki jodi hamesha salaamat
aur khushaal rakkhe.”Ananya,who was standing beside them said,”Panditji ye…”Akash interrupted in the
middle and replied,”Arey yuvraaniji
panditji to bas aashirwaad hi de rahe hai na aur kuch to nehi kar rahe hai to
bas.Aap bhi na…”They all prepared to leave for the palace and after
reaching there,Akash asked Vijay to help Gayatri get inside the palace.When
they left,Akash stopped others and said,”Mujhe
aap logo se bohot zaruri baat karni hai kyuki ek kaam hai jisme mujhe aap sabki
madat chahiye.”Natasha asked,”Kaisi
madat?”Akash replied,”Aaj raat ko
chatt par miliye par sirf aap teeno bas aur kisiko bhi is baare mein bataane ki
zarurat nehi hai.”Everyone agreed and returned to each others’ rooms.At
night,due to some reasons the meeting at the terrace was postponed and so Akash
came out of the palace in the lawn since he could not call his family due to
network problems.Ananya saw him walking in the lawn from her balcony and came
downstairs to meet him.He was too busy with his tab to make a video call since
he has not met them for quite a long time.”Aap
aise kya kar rahe hai by the way?Koi pareshaani hai?”Akash almost screamed
and jumped out under his skin and on seeing Ananya said,”Yuvraaniji meri abhi umar nehi hui hai marne ki aur main itni jaldi
marna chahta bhi nehi hu aur aap hai ke mujhe heart attack dene par tuli hui
hai.”She replied,”Nehi vo aap is
tarah se tehel rahe hai aur vo bhi pareshaan hokar to isiliye main…Khair aapne
aaj mujhe kaha tha ke aap meri baat apni family se karaayenge.”Akash made a
face and replied,”Kaha se karaaunga…call
hi to nehi lag raha hai.”She asked him to again dial the number and that
time he got the connection and Akash said,”Kya
baat hai!!Aap to mere liye sach mein bohot lucky hai.By the way tayyar ho
jaaiye roller coaster ke liye.”Akash called on his father’s phone and that
was received by Neil.The convo :-
Neil :- “Chachu!!Yaar kal se call nehi kiya
aapne.Mujhe to tension hoti nehi hai par ye jo daadi ne dimaag kharaab karke
rakkha hua hai aur ghar ghari mujhe tension dene beth jaati hai.Pehle minute
‘Haaye mera sona puttar ki hoyega uska.Jaane se pehle inne saare parothe
banakar khilaaye the kahi us bhutni ne usko paratha samajh kar kha to nehi
liya.Abhi tak to maine uski baraat bhi nikalte huye nehi dekhi,uske nikke nikke
bachche bhi godi mein khilaane baaki hai’ kehkar roti hai aur phir dusre minute
mamma se jhagra karti hai.Main sach keh raha hu aapke aur aapki mummy ke
chakkar mein na ekdin main ghar chor bhaag jaaunga.”
Akash :- “Oye thaand rakh yaar!!Tabse bolle
ja raha hai radio ki tarah ab thaand pe ja.Mujhe kal network nehi mil raha hai
yaar.Mujhe pata hai sab log kitna pareshaan hai tabhi to maine aaj phone
kiya.Dekh tujhse kaun milna chahta hai.”
Ananya waved
her hand on seeing Neil and Neil too waved his hand.
Neil :- “Hi Chachi!!!”
Ananya
looked at Akash with horror and he in turn gave a grin to Neil.
Akash :- “Ae ki bole ja raha hai tu?”
Neil :- “Oh sorry sorry!!Main na thora senti
ho gaya tha.Actually na chachu par na dher saari larkiya line maarti hai aur
unme se ek bhi mujhe pasand nehi hai par aap na thori different ho chachu ne
bataya hai aapke baare mein.Main chahta tha ke chachu ki shaadi na aisi ladki
se ho jo unse asaani se na pate isiliye maine tabhise aapko apni chachi maan
liya hai.Khair!!Vo sab choro.”He cleared his throat and bowed a
littled bit and said,”It’s a pleasure
meeting you Princess Ananya Uday Pratap Singh Rathore!!”
Ananya :- “Oh my God!!He’s such a sweet kid.Kitne
pyar se usne mujhe greet kiya aap khaamakha mein uski buraai karte hai.Its nice
meeting you too Mr. Neil Saluja.”
Neil :- “Chachu ko vaise bhi meri buraai
karne ke alava aur kuch nehi aata hai.Aap kitni beautiful ho aapko pata
hai?Aapke jitna beautiful to koi nehi hai hamaari colony mein.Ek minute thehro
main sabko bulaata hu saare bare tensed the chachu ne jo kal raat ko phone nehi
kiya.”
Neil called
others and the first person to come running was Mrs Saluja.Akash said to
Ananya,”Abhi aasuo ki baar aayegi aur
melodrama start hoga.”On seeing her son’s face Mrs Saluja cried out.
Mrs Saluja :- “Haayo rabba mera puttar!!Kinne
dino baad main tenu vekhiyasi.Tune kal phone nehi kitta te menu laga ke kahi
twanu us chudail ne…”
Akash :- “Mummy!!Ren do na ye melodrama apna,phone
te kitta na main aaj,ab kyu ro rayi si?Phone ka network nehi milta hai yaha te
ki rola pe gaya si?”
Mrs Saluja :- “Tu nehi samjhega jisdin tere
bachche honge na tab tujhe samajh mein aayega.Puttar tu na ye sab chod aur
chetti chetti kaar waapas aaja.Mera dil hi nehi lagta hai tere bina.”
Akash :- “Tabse roye ja rahi ho dekho kisko
milaane laaya hu main aapse.”
Ananya
joined her hands to greet Mrs. Saluja.
Mrs Saluja :- “Ae kaun hai??Churail se
milaane laaya hai tu menu?”
Akash was
damn embarrassed and Ananya looked confused.
Akash :- “Mummy churail nehi hai gi ye,jeeti
jaagti soni kudi saamne bethi hai aur aapko churail dikh rahi hai?”
Mrs Saluja :- “Haayo rabba tune mujhe bina
bataaye kudi vi pasand kar li hai?O Salujaji atthe aao aur dekho apne sapoot ke
karnaame hume bina bataaye kudi vi pasand karli hai shaadi karan waste.Pata
nehi maine aise kaunse bure kaam kiye hai jo mujhe aise din dekhan par rahe
hai.”
Akash :- “Maaaa!!!Main inse shaadi nehi kar
raha hu ye vo hai jinke mahal mein main reh raha hu.Ye princess hai gi aur
aap??”
Mrs Saluja :- “Oho!!Princess hai gi ye tab to
bari soni aur khaandaani kudi hai.O Salujaji dekhiye apne munde ne kinni soni kudi
le aaya hai.Chalo kamsekam ek bahu to dhang ki aayegi kaar mein.”
Akash was
getting annoyed at his mother and Ananya was literally enjoying all those
dramas.
Avni :- “Mummyji main yehi aapke bagal mein khari
thi.Vaise to kabhi aap meri izzat vizzat to karti hai nehi hamesha mujhe
nikammi samajhti hai kamsekam bahaarwaaalo ke saamne hi thora lihaaz kar liya
kijiye.”
Mrs Saluja :- “Hai to main tere se darti hu
kya?Aur ye bahaarwaali kaise hui meri choti bahu hai aur tu hai na zyaada muh
na khol.”
Akash :- “Mamma ki keh rahe ho tussi?”
Avni :- “Hello ji princessji vo kya hai na
meri saas ki hamesha se hi khiski hui hoti hai par aaj na screw pura ka pura
geer gaya hai.So don’t mind hai ji!!By the way Akash nice choice!!”
Akash :- “Bhabhi please yaar!!”
Neil took up
the tab from there and then said to both Mrs Saluja and Avni,”Mamma daadi aap log kuch bitha kar aaye
hai kya kitchen mein bari badboo aa rahi hai jalne ki.”Both the ladies
screamed and Mrs Saluja said to Avni,”Dekh
teri vajah se mera khaana jal gaya.”Avni replied,”Arey ha aap to kabhi kuch bolti hi nehi hai.Parosiyo tak to meri aur
daddyji ki awaaz pohochti hai.”Mrs Saluja warned Avni,”Oye zubaan na lara mere saath.Kaarwaalo ne tameez nehi seekhayi hai
kya tenu?”Avni replied,”Seekhaayi
thi ji par unhe pata nehi tha ke mujhe itni goumata jaisi saas milne waali
hai.Abhi aapka ho gaya ho to chale abhitak to sabzi kaali par chuki hogi.Hmh!!”Saying
both of them left from there.
Neil :- ”Sorry abhi in dono ka tv serial
waale saas bahuo ka naatak shuru ho gaya hai so aap log inse kisi aur din baat
kar lijiyega.Princessji ye na in dono ka pyar waala jhagra hai aap na misunderstand
mat karna.Chachu bhi na bilkul daadi par gaye hai.”
Akash :- “Ae saale tera kehne ka matlab kya
hai main mummy jitna loud hu?”
Neil :- “Kyu apni taarif karaana chahte ho
chachu?Fokat mein izzat ke paraathe ban jaayenge.”
Akash :- “Jitni teri size nehi hai usse do
gaz lambi teri zabaan hai.Sharam nehi aati apne chachu ke saath aise baate
karte huye?”
Neil :- “Paida hone ke baad se to nehi aayi
abhi achaanak se to nehi aayegi vaise bhi aapki reputation bhi na koi izzat
dene laayak nehi hai.”
Akash :- “Thik hai bahaarwaalo ke saamne
kamsekam karle.”
Akash and
Neil unknowingly were fighting just like their mothers and Ananya was literally
so much entertained that for the first time in years,she laughed out loud.Akash
was amazed at the sound of her laughing made Akash look at her with a jerk and he
immediately disconnected the call.The sound of her laughing spreaded and echoed
around the whole palace like the jingling of the anklet.
Comments
Post a Comment